Tuesday, October 6, 2009

Teri Mohababat yad aati hai…

Teri Mohababat yad aati hai hamko
Teri wafayen satati hai hamko
Kyon chhodkar hame ajnabi ho gaye
Din rat teri yad tadpati hai hamko
Tere jane ka asar hua Kuchh iss tarah
Ab har khushi rulati hai hamko
Suna hai hal tumhara bhi bura hai juda hokar hamse
Yah raj teri sakhiyan batati hai hamko
Iss jamane ne kya hal kar diya tumhara
Kya ye duniya tadpane ki saja deti hai hamko
Pyar main yahi hal hota hai aksar "ANJAN"
Aati jati fija yahi kahti hai hamko.

1 comment:

  1. Aap ki rachna "teri mohababat yad aati hai" pasand aai per kuch kamiya hai tora sa es ko sudaro to kafi aacha likhne lag jao ge.

    nite batra
    LIONS CLUB
    SONIPAT

    ReplyDelete